*~*~*~*~*~*GHAZAL’s*~*~*~*~*~*
Koi Baat Esi Kiya Karo, Koi Lafz Esa Kaha Karo *
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa, Koi Shair Esa Parha Karo *
Nahi Dukh Main Es KO Rakha Karo, Kabhie Sukh Bhi Esko Diya Karo *
Ye Udas Hai Kayi Roz Se,Mere Dil Main Aa Ke Raha Karo *
Jo Kahthin Kathin Se Hain Raaste,Ye Sabhi Hain Kyon Mere Waaste *
Ye Jo Jal Rahi Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Es Main Jala Karo *
Abhi Taq Tumhari He Aas Hai, Mere Dil Ke Ab Bhi Tu Paas Hai *
Hai Ye Dil Tumhare Hisaar Main,Esey Meri Jaan Rehaa Karo *
Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho,Faqat Ek TUmhari He Baat Ho *
Abhi Jese Tum Mere Saath Ho,Unhi Mere Sath Raha Karo *-*
chehray pe mere zulf ko phailaoo kisi din
kia rozz garajtay ho, baras jao kisi din
razoon ki terha utro mere dill main kisi shab
dastak pe mere haath ki khul jao kisi din
perron ki terha husn ki barish main naha loon
badal ki terha jhoom k gher aoo kisi din
khushboo ki terha guzro mere dill ki galii se
phoolon ki terha mujh pe bikher jao kisi din
guzrain jo mere gher se tu ruk jain sitaray
is terha meri raat ko chamkaoo kisi din
main apni her aik saans usi raat ko de don
ser rakh k mere seenay pe so jao kisi din
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaye they ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi taur mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai
kabhi aisa nhi karna
main pehley bhi akelaa tha
mujhy tanha nhi karna
meri in jheel si aankhun ko
kabhi sehra nhi karna
judai bhi jo aaye to
dil mela nhi karna
bharosa bhi zarori hai
magar sab ka nhi karna
muqadar pher muqadar he
koi dawa nhi karna
jo likha he wohi hoga
kabhi shikwaa nhi karna
haqeeqat hai milan apnaa
issko sapnaa nhi karna
wafaain ruswa nhi karna
mujhy tanha nhi karma
Teri Khushboo Nahin Milti,Tera Chehra Nahin Milta
hamain Tu Sheher Mein Koi Teray Jaisa Nahin Milta
Yeh Kaisi Dhund Mein Hum Tum Safar Aghaz Kar Baithay
Tumhy Aankhain Nahin Milti Hamain Chehra Nahin Milta
Har Ik Tadbeer Apni Raigaa Thehri Muhabbat Mein
Kisi Bhi Khuwab Ko Tabeer Ka Rasta Nahin Milta
Zamany Ko Qareeny Sy Wo Apny Saath Rakhta Hai
Magar Meray Liyay Uss Ko Koi Lamha Nahin Milta
Musafat Mein Dua-e-Abr Unn Ka Saath Daiti Hai
Jinhain Sehra Kay Daman Mein Koi Darya Nahin Milta
Jahan Zulmat Ragoun mein Apny Panjay Gaar Daiti Hai
Ussi tareek Rastay Per Dia Jalta Nahin Milta...
koi to hota main jiss k dilki kitab banta
main jiski chahat ka khwab banta
main hijar k musam ki lambi
rat main yaad ban kar azab banta
koi to hota!
jo meri khowahish me uth k raton ko khoob rota
dokhon ki chadar lapait kar hujoom e dounya se door hota
me roth jata manata mugh ko
k chaheY mera kosoor hota
koi to hota!
koi to hota me jiss ke itny kareeb hota
na pass koi rakeeb hota me tanha uss ka
habeeb hota.!!
ye silsila bhi ajeeb hota!
koi to hota..!!
Us ne kaha, mujh se kitna pyaar he!
mainey kaha,sitaron ka koi shumaar nai
us ney kaha,kon tmhe he bohat azeez!
mainey kaha,dil pe jis ka ikhtyaar he
us ney kaha,kon sa tohfa tmhe main doon!
mainey kaha,wohi shaam jo abhi tak udhaar he
us ney kaha,khizaan main mulaqaat ka jawaaz!
mainey kaha ,qurb ka matlab bahar he
us ney kaha,sainkaron gham zindagi main hain!
mainey kaha,ghum nahi jab ghumgusaar saath he
us ney kaha,saath kahan tak nibhaao gay!
mainey kaha,jitni yeh saans ki taar he
us ney kaha,mujh ko yaqeen aaey kis tarah????
mainey kaha, NAAM MERA AITBAAR HE!
Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karti ho?
Tum jahan pe beth k jaati ho
Jis cheez ko haath lagati ho
Main wahin pe betha rehta hoon
Us cheez ko choota rehta hoon
Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karti ho?
Tum jis se hans ker milti ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis raaste per chalti ho
Main us raaste per aata jaata hoon
Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karti ho?
Kuch khuwab saja ker ankhon main
Palkon se moti chunta hoon
Tum se milne julne ke
Kitne hi bahane rakhta hoon
Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karti ho?
Kaho ab kia kahoon tum se
Batao kia likhoon tum ko
Mujhe tamheed do koi mujhe umeed do koi
Naya ik lafz ho koi
Jahan se baat chal nikle meri mushkil ka hul nikle
Batao lehja kaisa ho
K tum se baat kerni hai
sehar ik raat karni ha
Mujhe thora ujala do baser ik raat kerni hai
Tum apni roshan aankhon ko
Ager kholo to mein likhoon
Tumhaare lub se aaye ga sukhan mein ik kateela pun
Tumhaari aankh de de gi takhatub ko nasheela pun
Kaho ab kia irada hai
Mujhe izhaar kerna hai
K beytaabi ziada hai
Kaho....ab.. ..kia kahoon....tum se....!!!!
Ye zara zara si baat per tarha tarh k azab q!!
jo kisi se kabhi khafa na ho mujhe uss KHUDA KI TALASH HAI
.......................................
mujhe laghzishon per hrr ghari koi tokta hai baar baar!!
jisay krr k koi gunah na ho mujhe uss GUNAAH KI TALASH HAI
........................................
main dhundti hoon wo khizan jisay gulshano se pyar ho!!
jisy charahg se na bair ho mujhe uss HAWA KI TALASH HAI
...........................................
mujhe uss nigah ki hai justajoo jahan koi bhi chahta nahi laho!!
jahan hiran ko shair se daar na ho mujhe us JAGAH KI TALASH HAI
..............................................
yahan aik lahmhay k parao main meray saaray phool jhulas gaye!!
abb jahan talkhion ki tapish na ho mujhe uss FIZA KI TALASH HAI
.................................................
bina humsafar k kab talak koi musafiton main laga rahy!!
jahan koi kisi se juda na ho mujhe uss RAH KI TALASH HAI
.................................................
Sochta hoon k ussay neend bhi ati hoo ge
Ya meri tarha ashq bahati hoo ge
Woh meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasweer sy kya ankh milati hoo ge
Shaam hotay he woh choukhat pe jalay kar shamay
Apni palkon pe kai khawab solati hoo ge
Us ny silwa bhi liye hoon gy siah rang libaas
Ab moharam ke tarha eid manati hoo ge
Hoti ho ge meray bosay ke talab main pagal
Jab bhi zolfon main koi phool sajatio hoo ge
Meray tareeq zamano sy nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad delati hoo ge
Dil ke masoom ragen khud he solagti hoon ge
Jonhi tasweer ka kona woh jalati hoo ge
Roop dey kar mujhy is main shahzaday ka
Apnay bachon ko kahani who sunati ho ge
ajnabi sheher k ajnabi rastay
meri tanhaii per muskoratay rahay
main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak yad atay rahay
zeher milta raha, zeher peetay rahay
roz mertay rahay, roz jeetay rahay
zindagi bhi hamain azmati rahi
or hum bhi usay azmatay rahay
ajnabi sheher k....
Kal kuch aisa howa, main bohat thak gaya
is liyay sun k bhi un suni ker gaya
kitni yadon k bhatkay howay karwaan
dill k zakhmon k darr khatkhatatay rahay
ajnabi sheher k....
zakhm jab bhi koii zehn o dill per laga
zindagi ki taraf ik dareecha khula
hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain
chott khatay rahay, gungunatay rahay
ajnabi sheher k ajnabi rastay
meri tanhaii per muskoratay rahay
main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak yaad atay rahay!!!!!!!
Kaash mai teray haseen haath ka kangan hota
tu baday pyar se chao se baday maan ke sath
apni naazuk si kalai mai chadhatee mujh ko
aur betaabi se furqat ke khizaan lamhon mai
tu kissi soch mai doobi jo ghummati mujh ko
main teray haath ki khushbu se mehak sa jaata
jab kabhi mood mai aa kar mujhay chooma kartee
teray honton ki hiddat se d ehak sa jaata
raat ko jab bhi tu nendo ke safar par jaatee
marmareen hath ka ek takiyya banaya karte
mai teray aan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko teray gaal ko chooma karta
jab bhi tu band qaba kholnay lagti jaana
apnay hathon ko teray husn se khera karta
mujh ko betaab sa rakhta ter i chaha t ka nasha
main teri rooh ke gulshan mai mehekta rehta
main teray jism ke aangan main khanakta rehta
kuch nahi tou yehi benaam sa bandhan hota
kash main teray haseen hath ka kangan hota...
kal hamesa ki terhaa usnay kaha ye phone per,,
main bohat masrof ho mujhk boht sya kaam hai,
is leye tum aoo milnay main to aa sakti nahi,,
her riwayat tor ker is baar main nay keh diia,,
tum jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoo,
tum agar ghamgeem ho man bhi bohat ranjoor ho,,
tum thakan say chourrrr to main bhi thakan say chhouurr hoo,
jan-e-man hai waqt mera bi bohat he qeemti,,
kuch pouranay doustoo nay milnay ana ha abhi,,
main bhi ab fareegh nahi mujhko bhi lakhho kaam hain,,
werna kahnay ko to sab lamhay tumharay naam hain,,
meri ankhay bhhi bohat bojhal hai sona hai mujhay,,
ratjago k baad abb nendo main khona hai mujhay,,
main lahooo apni anaoo ka baha sakta nai,,
tum nahi aa sakkti to milnay main bhi aa sakta nahhi,,
uss ko ye khe ker wasi main nay reciever rakh dia,,
orrr phirr apni anaa k paoo pay sir rakh dia.......
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti,
Woh kehti hai k janan!
lehjay main bohat udaasiyat si hai?¿?¿?¿?¿?¿?¿,
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.
Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi,
Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai
Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai? .....
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila ha...
TumHain Zid Hay K Iqraar-E-Wafa Tumnay Nahi Kerna,
Meri Taqdeeer Main Rung-e-Hina Tumnay Nahi Bherna.
Tumhain Manzoor Hay Shayed Mera Youn Ghut Ghut K Merna.
Tumharay Her Faisley per ab Mera Sir Tasleem-e-Kham Hoga
Main Apnay Hont see lounga
Youn He Bey Kaif jee Lounga
Tumharay hijer Ki Tasveer Ko Dil Main Saja Lounga
Tumharay jabar Ko Apnay saber ko Aazma Lounga
Haan Meri jaan Main Tera Ab Her Sitam Seh Lounga
Mager Aik Baat Main Pochoun,,,,,,,?
Tumhain Apni Qasam,,,,,
Tum Sir Per Apnay Hath Rakh K Ye Kehna,.?
Tumharay Dil Main Merey Naam Say Hulchal Nahi Hoti?
Merey Khat Perh Ker Jazbo Main Koi Toofan Nahi Uthta,?
Jawan Ratoun Main Merey Naam Ki Shamaien Nahi Jalti?
Tumhari Dherkanou Mian Kya Meri Soch Nahi pulti?
To Tum Nay kyun Aziyet Ki Rada Than Rakkhi Hai?
Ye Dil Main Than rakkhi Hai""
Bohut Bechain Khud Rehna Mujhay Bhe Berbad Sa Rakhna
bhulana Bhe To Us K Sath Kuch Kuch Yaad Bhe Rakhna
Her Aik Andaaz Say Apnay,
Mujh Per Sitam Sa Rakhna
Ager Is Shouq Say Tumhain Taskeen Milti Hai?....
To,,,,,,
Merey Zakhm Ka Tazkira Ab Kum Say Kum Hoga....
Tumharay
Tumharay Her Faislay Per Mera Sir Tasleem-E- Khum Hoga
Teray Firaq Kay Lamhay Shumaar Kartay Hoay
Bikhar Gay Hain Tera Intezar Kartay Hoay
Main Bhi Khush Hooon Koi Ussay Ja Kay Keh Dena
Agar Woh Khush Hai Mujhe Beqarar Kartay Hoay
Main Muskurata Hoa Aaenay Main Ubhar Aon GA
Woh Ro Paray Gi Achanak Singhar Kartay Hoay
Tumhin Khabar Hi Nahi Hai Koi Tooth Gaya Hai
Mohabbaton Ko Bhout Paidar Kartay Hoay
Woh Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain Ankhin Hain
Main In Main Doob Gaya Aitbar Kartay Hoay
Mujhe Kabhar Thi Kay Ab Laut Kar Na Aon GA
Tujhiko Yaad Kia Dard Paar Kartay Hoay
Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski
Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko deewaana bana deti hain yaadein usski
Main bhatakta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski
Jab uthaata hoon nigahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski
jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaQat ka
Faasle aur barha deti hain yaadein usski............
MUJHY BAS ITNA KEHNA HAY
Mujhay Bas Itna Kehna Hay,
Kabhi Main Yaad Aaoon To,
Kabhi Tanhai Ki Raatain,
Tumhain Ziada Sataein To,
Kabhi Titli Na Bolay To,
Aur Jugnoo Lout Jaye To,
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye,
Koi Jab Sun Na Paye To,
Agar Sab Dost Sathi Bhi,
Jo Tum Say Rooth Jaaein To,
Kabhi Jab Khud Say Lar Lar Kar,
Thakan Say Choor Ho Jao,
Kabhi Chahtay Huay Bhi Khud,
Akelay Ro Na Naao To,
Apni Aankhon Ko Band Karna,
Mujhay Aawaz Day Dena,
Aur Phir Meray Tasawwur Say,
Jo Chaho Batain Keh Dena,
Meray Kaandhay Pay Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena,
Phir Khud Main Jab Loat Jao To,
Us Hi Duniya Chalay Jana,
Magar Bas Itna Kehna Hay,
Ke Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main
Hamain Dil Say Pukaro Gay,
Hamain Tum Saath Pao Gay.......
Wo shaks mehfil main roo na saka ho ga
laikin raat bhar wo soo na saka ho ga
mujhe yaqin hai mujh se bicher ke wo
kisi ka phir ho na saka ho ga
Na jaane ye nazare kyun udaas rehte hai
Na jaane inhe kiski talaash rehti hai
Ye jankar bhi ki woh apani nahi hai
Fir bhi unhe paane ki aas rehti hai.
Deri hi sahi par duri to nahi,
Intezar bhala par judai to nahi,
Milna bichhadna to kismat hai apni,
Aakhir insaan hai hum farishthe to nahi.
Tere Ehsas sey Mohabbat Ki Hai
Tere Ehsas sey Mohabbat Ki Hai..
Too Mery Pass Nahi Hay Phir Bhi
Teri Yaad sey Mohabbat Ki Hai..
Main Tum Ko Kis Tarha Bhool sakta Hoon
Main Ne Tere Osaaf sey Mohabbat Ki Hai..
Kabhi To Tu Ney Bhi Mujhe Yaad Kia Ho Ga
Main Ne Un Lamhat sey Mohabbat Ki Hai..
Jin Main Hoon sirf Tere Or Mery Baten
Main Ney Un Oqaat sey Mohabbat Ki Hai..
Or Jo Mehke Ho sirf Tere Hi Mohabbat sey
Main Ne Un Jazbat sey Mohabbat Ki Hai..
Tujh sey Milna To Aab Khaab sa Lagta Hai
Main Ney Tere Intezar sey Mohabbat Ki Hai..
Tujhey Ishq Ho Khuda Karay .....
Koe Tujh Ko Uss Sey Juda Karay....
Tere Hont Hansna Bhool Jaian...
Teri Ankh Purnamm Raha Karay....
To Uss Ki Batain Kya Karay....
To Uss Ki Batain Sunna Karay....
Ussay Dekh Kar To Ruk Paray....
Woh Nazar Jhuka Kar Chala Karay...
Tujhey Hijjar Ki Woh Jharri Lagay....
To Millan Ki Her Pall Dua Karay....
Tere Khuwab Bikhrain Tott Kar ....
To Kirche Kirche Chunna Karay....
To Nagar Nagar Phira Karay....
To Galli Galli Sada Karay.....
Tujhey Ishq Ho Phir Yakeen Hoo....
Ussay Tasbihoon Per Parha Karay....
Main Kahoon "Ishq Dhong" Hai....
To Nahin Nahin Kaha Karay.....!
Jo khayal thay na qayaas thay wohi log hum say bichar gaye
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum say bichar gaye
Jinhain maanta hi nahin yeh dil wohi log hain meray hum safar
Mujhe her tarah say jo raas thay wohi log hum say bichar gaye
Mujhe umer bhar ki musafaton k azaab aur satayen gay
Meri umer bhar ki jo pyaas thay wohi log hum say bichar gaye
Ye khayal saaray hain aar'zi ye gulaab saaray hain kaaghzi
Gul-e-aarzoo ki jo baas thay wohi log hum say bichar gaye
Jinhain kar saki na qabool main wohi sharek-e-humsafar hoye
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum say bichar gaye
Ye jo din raat meray sath hain wohi ajnabi ka hain ajnabi
Wo jo dharkano ki asaas thay wohi log hum say bichay gaye
Mila woh bhi Nahi karte , Mila hum bhi nahi karte
Bewafai woh bhi nahi karte, bewafa hum bhi nahi karte
Unhen ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka ghum hai
Gila woh bhi nahi karte, gila hum bhi nahi karte
Kahin kisi mor per aksar samna ho hi jata hai
Ruka woh bhi nahi karte, ruka hum bhi nahi karte
Unhain jab bhi dekhte hain, sochte hain kuch kahen
Suna woh bhi nahi karte, kaha hum bhi nahi karte
Wo Pani ki Lehron pe kia Likh Rahi Thi ,
khuda janay Harf -E -Dua Likh Rahi Thi ,
Likha JIS ne noval wafa ka Adhora
Wohi Pyar ki Inteha Likh Rahi Thi ,
Bhala Kartay Kartay Guzari Jawani,
M agar Phir bhi Khud ko Bura Likh Rahi Thi ,
Muhabat Mein Nafrat Mili Thi ,
Usy bhi jo har Shakhs ko Bewafa likh Rahi thi,
Zara Us ki Ankhon Se Ansu Na Niklay,
Wo jis Waqt Lafz Saza Likh Rahi Thi
Namaz -e-Muhabat main wo Apne Hue Thay,
Jo Sajday Qaza Likh Rahi Thi ,
My Favourite (iss main zindagi ki haqeeqat chupi ha)
KABHI NAZRAIN MILANAY MAIN ZAMANAY BEET JATAY HAIN
KABHI NAZRAIN CHURANAY MAIN ZAMANAY BEET JATAY HAIN
KISSI NAY ANKH BHI KHOLI TO SONAY KI NAGRI MAIN
KISSI KO GHAR BANANAY MAIN ZAMANAY BEET JATAY HAIN
KABHI KALI SIYAH RATAIN IK PAL KI LAGTI HAIN
KABHI IK PAL BITANAY MAIN ZAMANAY MAIN BEET JATAY HAIN
KABHI KHOLAY DARWAZA KHARI THEE SAMNAY MANZIL
KABHI MANZIL KO PANAY MAIN ZAMANAY BEET JATAY HAIN
IK PAL MAIN TOOT JATAY HAIN UMAR BHAR K WOH RISHTAY
WOH RISHTAY JO BANANAY MAIN ZAMANAY BEET JATAY HAIN
dil nay faqat os ki yaad talab ki thi....phir jo shub bhar rehi woh bay kali ghazab ki thi..hum ana k kaidi seh giay judaion ko..werna dil na ro ro k halit apni ajab ki thi...yeh aur baat k sediyon pay bhari thi woh shaam...werna baat to faqat aik hi shub ki thi
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karate ho to phir pyaar chhupate kyon ho
Ashk aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahate kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
tohmetain to lagti hain..roshni hawish mein...ghar say bahir anay ki kuch saza to milti hai...tum ko kiya habar jana...on k iradon ki...khobsoret ankhon mein basnay walay khabon k rung kaisay hotay hain..dil ki goed mein palnay wali baton k zahaz kaisay hotay hain...kitnay gehray hotay hain...tum ko kiya habar jana..tohmtain to lagti hain...roshni ki hawish mein..tohmton k lagnay say...khud ko nadhal kiya kerna..tuhmeton say kiya derna
ye zindagi ye zindagi
ye zindagi aaj jo tumharey badan kee choti badee naso mei machal rahi hey,
tumharey pairo sey chal rhai hey
ye zindagi ye zindagi
tumharee avaz mein galey sey nikal rahi hey
tumharey lafzo mein dhal rahi hey
ye zindagi, ye zindagi
ye zindagi janey kitnee sadyo sey yooo h ee shakley badal rahi hey
badaltee jismo badaltee shaklo ka chalta phirta
ye ik sharara
isee see saareee chahel pehl hey
isee sey raushan hay har ik nazaara
sitarey todo, ya ghar basaaao
alam uthaao key sir jhukaao
tumharee aankho kee roshnee tak
hai khail sara
ye khail hoga nahee dobaara
ye khail hoga nahee dobaara
Chaloo yun hi sehi ....
Tum hum say, hum tum say badguman sehi
Lutafatoon ka musam behi guzar jay ga
Kahwaish mirr jain gi
Dil behi thum jay ga
Yeh bay kali si joo chahai hai
Mitt hi jay gi
Saiyh raat behi kat hi jay gi
Magar janan sunaoo........
En sab ke honey say
Jaari rehney say
Shab-wa-rooz ke guzarney se
Duriyan bardh jain gi
Kami ho jay gi shidataoon mein
Faaslay bardh jain gay
Muhabbat ghat jay gi ..........
Din raat ky aany jany mein
Duniya ky ajaEb khany mein
Kahbi shishy duhndly hoty hein
Kahbi manzar saaf nahi hoty
Kahbi suraj baat nahi karta
Kahbi tary anhk badalty hein
Kahbi manzil pehchy rahti hy
Kahbi rasty aagy chalty hein
Kahbi aasein toor nahi charhatein
Kahbi kahdsy pury hoty hein
Kahbi anhkein dehk nahi sakti
Kahbi khawab adhury hoty hein
Yah sab to theek hy laikin
Iss aashob ky manzarnamy mein
Din raat k aany jany mein
Duniyah ky ajaEb khany mein
Kuch sayah karti anhkon ky
Piyan to dehkai daity hein
Hathon sy agarchy door sahi
Imkan to dehkai daity hein
Haan rait k iss dariyah sy uhdar
Ik pairon wali basti ky
Unwaan to dehkai daity hein manzil sy kohson dor sahi
Par dard sahi ,ranjor sahi
Zahkmon sy musafir chor sahi
Par kisy kahein
Kuch aasy gaho bhi hoty hein
Jinhein zakmi aap nahi dahoty
Bin rooy howay ansoo ki tarha
Seny mein chupa rahkty hein
Or sari umar nahi rooty
Neendein bhi muhiya hoti hein
Sapny b dor nahi hoty
Kiyon phir b jahgty rahty hein
Kiyon
Yeh jo sar guzishta se phirte hain kitabon wale
inn se mat mil k inhe rog hain khwabon wale
ab mah-O-saal ki mohlat nahi milne wale
aa chuke ab to shab-o-roz aazabon wale
ab tu sab dashna-O-khanjar ki zuban bolte hain
Ab kahan log mohabbat k nisaabon wale
jo dilon per he kabhe hakab zani kerte thee
ab gharo tuk chale aaye woh nikaabon wale
zinda rehne ki tammana ho to ho jaate hain
faakhtaon k kirdaar bhe ookabon wale
na mere zakham khile hain na tera rang-e-hina
ab k mousam he nahi aaye gulaabon wale
youn lagta hai k qismat ka sikander hai FARAZ
magar andaaz hain sab khaana kharabon wale
Tujhe Pyaar mera satayega
Yaadon ke toofan utthaye ga
Mera naam likh ker kitabon main
Tu logon ke darr se mitaye ga
Zikar mera aksar karne se pehle
Tu kuch soch ker muskuraye ga
Baatein meri yaad aayengi
Jitna tu unhain bhulaye ga
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe
Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga
Jis ne mujhe itna sataya hai
Us ka chain bhi koi churaye ga
kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uu.Ngii
mai.n apane haath se us kii dulhan sajaa_uu.Ngii
supurd kar ke use chaa.Ndanii ke haatho.n
mai.n apane ghar ke a.Ndhero.n ko lauT aa_uu.Ngii
badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
mai.n dil me.n rouu.Ngii aa.Nkho.n me.n muskuraa_uu.Ngii
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
mai.n kis se ruuTh sakuu.Ngii kise manaa_uu.Ngii
vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahii.n lekin
mai.n ab bhii us ke ishaaro.n pe sar jhukaa_uu.Ngii
bichhaa diyaa thaa gulaabo.n ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabo.n kii raakh uThaa_uu.Ngii
ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
mai.n kis kii nazm akele me.n gun_gunaa_uu.Ngii
javaz Dhuu.NDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke mai.n us ko bhuul jaa_uu.Ngii
sama’ato.n me.n ghane jangalo.n kii saa.Nse.n hai.n
mai.n ab kabhii terii aavaaz sun na paa_uu.Ngii
mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu nay uss moar pay tora hai ta'alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!
Wo Kehti Hay......
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay
Wo Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon....
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!
Wo Kehti Hay....
Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon...
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!
Wo Kehti Hay...
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon...
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi...!
Wo Kehti Hay...
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon...
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay...!
Wo Kehti Hay...
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon...
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...!
pura dukh aur aadha chand
hijr ki shab aur aesa chand
din main wehshat behl gae thi
raat hoe aur nikla chand
kis maqtal say guzra hoga
itna sehma sehma chand
yadoon ki aabad gali main
ghoom raha hai tanha chand
meri kerwat per jag oothay
neend ka kitna kacha chand
meray moun ko kis hairat say
daikh raha hai bhola chand
itnay ghanay badal kay peechay
kitna tanha hoga chand
aansoo rokay noor nahaey
dil darya tun sehra chand
itnay roshun chehray per bhi
sooraj ka hai saaya chand
jab pani main chehra daikha
tu nay kis ko soocha chand
bargud ki aik shaakh hata ker
janay kis ko jhanka chand
badal kay raysham jholay main
bhour samay tak sooya chand
raat kay shaanay per sar rakhay
daikh raha hai sapna chand
sookhay patton kay jhurmat per
shabnam thi ya nunha chand
haath hila ker rukhsat hoga
Aos ki soorat hijr ka chand
sehra sehra bhatak raha hai
apnay ishq main sacha chand
raat kay shayad aik bajay hain
soota hoga mera chand..... :)
koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta......... :)
Main khod Zamee'n Hon Magar Zarf Aasman Ka Haii
k Toot kar Bhi Mera Hoosla Chittan ka haii...
Bura na Maan,meray harf Zehar Zehar Sahii
Main kia karon,Yehii Zaiqa Zaba'n ka Haii
Har ik Ghar Pay Musallat hai dil kii Weeranii
Tamam Shehar Pay Saya Meray Makan ka haii
Bichartay Waqt Say Ab Tak Mai Yun Nahi Royaa
Wo Keh Gaya Tha,Yehi Waqt Imteha'n Ka Hai
Musafiro'n ki khabar hai,na dukha hai kashtii Ka
hawa ko jitna bhi gham haii,wo Baadban ka haii...
Jo Barg-E-Zard Kii Sorat Hawa Me Urtaa Haii
Wo Ik Warq Bhi Meri Apni Daasta'n ka Hai
Ye or Baat Adaalat Hai bay Khabar......Warna
Tamam Shehar Me Charcha Meray Bayan Ka Haii
Asar Dekha Na Saka us k Dil Me Ashk Meraa..
Yee Teer Bhi Kisi Totii Hoee Kaman Ka Haii
Bichar Bhi Jaye Magar,Mujhsay Baykhabar Bhi Rahaye
Ye Hosla Hi Kahan Meray Bad Gumaa'n Ka Haii
Qufs To Kher Muqaddar Me Tha Magar
Hawa me Shor Abhi Tak Merii Uraan Kaa Haii...
Kisi khush nigah si aankh ne ye kamal mujh pe karam kiya
meri loh e jaan pe raqam kiya
wo jo aik chaand sa harf tha,wo jo aik sham sa naam tha
wo jo aik phool si baat phirti thi dar badar
usay gulistan ka pata diya
mera dil k shehr e malal tha,usay roshni main basa diya
meri aankh aur mere khwab ko kisi aik pal main baham kiya
mere aainon pe jo gard thi mah o saal ki
wo utar gai
wo jo dhund thi mere chaar su
wo bikhar gai
sabhi roop aks e jamal k
sabhi khwab shaam e wisal k
jo ghubar e waqt main sar basar thay atay hue
wo chamak uthay
wo jo phool raah ki dhool thay
wo mehak uthay
liye saat rang bahar k
chala main jo sang bahar k!
to saja diye sabhi raaste,
kisi dast e shaubda saaz ne
mere naam per,mere waaste!
meri be ghari ko panah di,meri justuju ko nishan diya
jo yaqeen se bhi haseen hai mujhe aik aisa guman diya
wo jo raiza raiza wajood tha
usay ik nazar main baham kiya
kisi khush nigah si aankh ne
ye kamal mujh pe karam kiya.
Mohabbat Bakhsh Deti Hai
Kabi Ra'anayiaan Aisi
K Jaisay Dhoop K Hotay
Kabi Badal Baras Jaye
K Jaisay Bin Kahay Koyi
Kahi Dil Mai Utar Jaye
Kahi Pariyo Ki Waadi Mai
Barray Se Takht Per Betay
Koyi Phoolo K Daman Se
Koyi Rango K Aanchal Se
Saro Per Sayebaan Ker De
Mohabbat Bakhsh Deti Hai
Kabi Tanhayiaan Aisi
K Jaisay Aag Si Barsay
Jo Sara Tan Jala Dalay
K Jaisay Raastay Mai He
Koyi Raahi Bhattak Jaye
K Jaisay Mun K Andar Kuch
Chanak Se Toot Sa Jaye
K Jaisay Dil PigaL Jaye
Mohabbat Kya Hai Phir Socho !
Ra'anaayi ?
Ya
Tanhaayi ?
Meray dard mera asasa hain
Meray khawb mera dilasa hain
Teri yaad ko, Tujhay zindaghee se mita dia
Mera kuchh tou khiaal kar
Mujay is tarah se na yaad kar
Mujhay apnay gham tou sehnay day
Meri rooh tou meray paas rehnay day
Teray paas reh ke sakoon tha
Mera ishq, mera janoon tha
Meri aaas meri piyaas rahi
Toa door reh ka bhi paas rahi
Teri wafa ney sub kuchh jala dia
Teri khamshee ney mera khoon baha dia
Isee aaas main mujhay jeenay day
Meri rooh tou meray paas rehnay day
Soach kar abh tujh ko jeeta hoon main
Apni tanhai ke zehr peeta hoon main
Mujay mout nay bhi bhula dia
Teri wafa ney mujhay yeh sila dia
Main tujhay bhool jana chahta hoon
Main apni zindagi jeena chahta hoon
Meri wafa ko aansooon main hee behnay day
Meri rooh tou meray paas rehnay day ........
"Zindagee ki rahoon main..
Barha ye dekha hai..
Sirf sun nahi rakha..
Khud bhi azmaya hai..
Tajurbon se saabit haii..
Jo bhi perhtay aaye hain..
Us ko theek paya hai...
Is tarha ki baton say..
Manzilon sey pehley hii,
Sath chooth jatay hain..
Log rooth jatay hain…
Yeh tumhain bata doon main,
Chahtoon key rishtey main..
Phir girah nahi lagti,
Lag bhi jaye to un main.
Woh kashish nahi hoti..
Ek pheeka pheeka sa..
Rabta to..hota hai..
Rooh key taluk main Tazgee nahi rehte…
Zindagee nahi rehti,
Baat who nahi bantee,
Dostee nahi rehtee,
Lakh baar mil ker bhi..
Dil kabhi nahi miltay,
Zehn key jharokon main..
Yaad key dareechon main..
Titliyoon kay Rangoon main..
Phool phir nahi khiltey…
Is liye main kehta hoon..
Is terha ki baton main..
“EHTYAT KERTY HAIN”
Is terha ki baton sey……….
“iJTANAB KERTY HAIN”!”
Mere hum safar mere hum nasheen
Me ne Rab se manga to kuch nahi
Me ne jab bhi mangi koi duaa
Nahi manga kuch b “Tere Siwa”
Ye talab kia k mere Khuda!
Sabhi rahtein
Sabhi chahtein
Wo atta kare tujhe manzilen
Ye talab kia k mere Khuda!
Tujhe bakht de
Tujhe taaj de
Tujhe takht de
Mere hum safar
Mere chara gar
Ye hai dosti ka kathin safar
Mere sath chalna zara soch kar
Zara dekh to mera hosla
Mere pas jo bhi wo hai tera
Nahi aur kuch b tere siwa
Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri be basi
Mera ilm bhi
Mera naam bhi
K meri subah
Meri shaam bhi
K jo mil sakein mere daam bhi
Wo sabhi kuch tujhe atta kare
Mere chara gar tu yakin to kar
Mujhe mangna to na aa saka
Me ne phir bhi mangi yehi dua
K gawahi de ga mera Khuda
Me ne jab bhi us se talab kia
Nahi manga kuch bhi “Tere Siw
Tumhe jaana ijazut hai
koyi bhi faisla kerlo
hamrai muntazir tehro
ya hum ko ulwida kehdo
hamarai naam se munsoob kerdo naam ko apney
ya apna naam dey ker tum kisi ke meet bun jao
Tumhe jaana ijazut hai
koyi bhi raasta chun lo
hamarai paoon mein to waqt ki zunjeer lipti hai
buhat nidhaal hein hum to dukhoon ki aazmayish hai
buhat mumkin hai thuk jao hamarai saath chul ker tum
mohabbat ki thukawut tum ko hum se budgumaan kerdey
to is se qabul keh hur ik wapsi ki raah khoo jaey
ju soocha bhi nahi hum ne ' kabhi wuh kul hojaey
Tumhe jaana ijazut hai !
koyi bhi failsa kerlo !
humare tum se wada hai tumhari yaad ko hum to
sada dil ke dareechey mein yunhi abaad rukheinge
keh dil roota rahe hur pul' laboon ko shaad rukheyinge
tumhe hum yaad rukheinge
Tumhre jaana ijazut hai
Tum apne hasulon mein jub thakawut si kabhi pao
uljh jao masayil mein wafa ko na nibah pao
kisi pyare se mukhrey ki haseen ankhoon mein kho jao
Ijazut hai tumhe jaana'n
ager us pul ju tum chaaho
kohyi bhi faisla kerlo
huamre muntazir tehro
ya hum ko ulwida kehdo !!
Hum khaaboon kay beopaari thay,
Per us main hua nuqsaan bada,
Kuch bakht main dheroon kaalak thee,
Kuch ab kay ghazab ka kaal pada,
Hum raakh liay hain jholee main or ser per hai sahokaar khada.
Jabdhartee sehra sehra thee,
Hum derya derya roay thay,
Jab haath ki rekhaain chup theein,
Or sur sangeet main khoay thay,
Tab hum nay jeevan khetee main khuch khaab anokhay boay thay.
Kuch khaab sajal muskaanoon kay,
Kuch bol kabat deewaano kay,
Kuch lafz jinhain maani na milain,
Kuch geet shikasta jaanon kay,
Kuch nair o wafa ki shamaoon kay kuch per pagal perwaanoon kay.
Phir apni ghaayal aankhoon say,
Khush ho ker lahoo cherkaaya tha,
Maaee main maas ki khaad bharee,
Or nas nas ko zakhmaya tha,
Or bhool gaye pichlee rut main kiya khoya tha kiya paaya tha.
Her baar gagan nay weham dia,
Ab kay berkha jab aayegee,
Her bej say konpal phootay gee,
Or her konpal phal laayegee,
Ser per chaaya chathree hogee or dhoop ghataa ban jayegee.
Jab fasal katee to kia dekha,
Kuch dard kay tootay gajray thay,
Kuch zakhmee khaab thay kaantoon per,
Kuch khakastar say kajray thay,
Or door ufaq kay saagar per kuch doltay doltay bajray thay.
Ab paaon khadaaon dhool bharee
Or jism pay jog ka chola hai,
Sab sangee saathee bhaid bharay,
Koi maasha hai koi tola hai.
Ab ghaat na ghar,dehleez na dar,
Ab paas raha hai kia baba,
Bas tan ki gathree baqee hai,
Ja yeh bhi to lay jaa baba,
Hum bastee choray jaatay hain tu apna farz chukka baba.
Us ki Aankhon mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga
ek Din Aaye Ga Woh Skhas Hamara Ho Ga
Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti hogi
Woh Kisi Aur He Dunya ka kinara ho ga
Zindagi! ab k mera naam na shamil karna
gar yeh tai hai k yehi khel dubara ho ga
jis k honay se meri sans chala karti thi
kis trah us k bagair guzara ho ga
yeh achanak jo ujala sa hua jata hai
dil ne chupkay se tera naam pukara ho ga
Ishq Karta hai to din raat usay socna hai
aur kuch zehan mein aaya to khasara ho ga
yeh jo pani mein chala aaya sunheri sa garoor
us ne darya mein kahin paun utara ho ga
kaun rota hai yahan raat k sunaton mein
mere jaisa he koi hijar ka mara ho ga
mujh ko maloom hai junhi main qadam rakhun ga
Zindgi tera koi aur kinara ho ga
Jo meri Ruh mein badal se garjtay hain WASI
us ne seenay mein koi dard utara ho ga
kaam mushkil hai magar jeet he loon ga us ko
Mere Mola ka Wasi junhi Ishara Ho ga ........
Ghame-e-zindagi teri rah main
Shab-e-arzo teri chah main
Jo ujar gaya who basa nai
Jo bichar gaya who mila nai
Jo dil-o-nazar ka suroor tha
Meray pass reh k bhi door tha
Wohi ek gulab umeed ka
Meri shak-e-jaan pe khila nai
Mera hamsafar jo ajeeb ha
Tu ajeeb tar hu main app bhi
Usay manzilon ki khabar nai
Mujhy raston ka pata nai
Pas-e-karwan sar-e-rah guzar
Main hara hon tu is liye
Ke kadam to sab se milay liye
Mera dil kisi sy mila nai
Hazaron pal tumhare bin,
Na poocho kaise katay hain
Kabhi yaadain rulaati hain
Kabhi mosam satatay hain
Usay keh do hum atay hain
Hamain mayus na kerna
Humara maan rakh laina
Humain wapis nahin jana
Humain dil mein basa lena
Humain apna bana lena
Bohat tarpay hue dil say
Bohat rootha nahin kertay
Muhabbat to ebadat hai
Usay ruswa nahin kerte
zamanay say chhupate hain
Kabhi charcha nahin kerte
Suno aisa nahin kerte..
safar tanha nahin karte
kisi ki ankh sy sapny chura ker kuch nahi milta
monderon sy charagon ko bhuja ker kuch nahi milta
humari such ki parwaz ko roky nahi koi
nay aflak par phary brtha kar kuch nahi milta
koi ik adh sapna ho to phir acha bhi lagta hy
hazaroon khowab ankhon my saja kr kuch nahi milta
sakoon un ko nahi milta kabhi pardes ja ker bhi
jin hy apny watan sy dil laga ker kuch nahi milta
acha hy k apas k bharm na tootny payn
kabhi bhi doston ko azman ker kuch nahi milta
my us ko pyar karta hon to mujh ko chain ata hy
wo khta hy mujhy us ko sata ker kuch nahi milta
usy khna k palkon pey na tanky khoawb ki jhlara
samander k kinary ghar bana ker kuch naahi milta
mujhy akser sitaroon sy yahi awaz ati hy
kisi ky hijer my neendy ganwa ker kuch nahi milta
ab k yoon dil ko saza di hum ny
us ki her bat bhola di hum ny
ik ik pool bohut yaad aya
shakhy gul jab wo jala di hum ny
aj tak jis py woh shrmaty hy
bat woh kab ki bhoola di hum ny
shehr-i-jahan raqs sy abaad hova
aag jab dil ki bhuja di hum ny
aj phir yaad bohut aya woh
aj phir us ko dua di hum ny
koi to bat hy us my faraz
her khushi jis py luta di hum ny
Suna Hay Laug Ussey Aankh Bhar Ke Dekhhtey Hayn
So Uss Ke Shehr Mayn Kuch Din Theher Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Rabt Hay Un Ko Kharaab Haloun Se
So Apney Aap Ko Barbaad Kar Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Dard Ki Gaahek Hay Chasm-e-Naaz Uss Ki
So Ham Bhi Uss Ki Gali Se Guzar Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hayn Uss Ko Bhi Hay Shayer-o-Shaayeri Se Shaghaf
So Ham Bhi Mojezey Apni Hunar Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Boley Tou Baatoun Se Phool Jhardtey Hayn
Ye Baat Hay Tou Chalo Baat Kar Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Raat Usse Chand Takta Rehta Hay
Sitaarey Baam-e-Falak Se Utar Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Din Ko Ussey Titliyaan Sataati Hayn
Suna Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Hashar Hayn Uss Ki Ghazaal Si Aankhayn
Suna Hay Uss Ko Heran Dasht Bhar Ke Dekhhtey Hayn
Suna Hay Raat Se Barh Ke Hayn Kakolayn Uss Ki
Suna Hay Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhhtey Hayn
Raston ki Marzi hai
Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye
Raston ki Marzi hai
Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain
Raston ki Marzi hai
Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain
Raston ki Marzi hai
Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain
Raston ki Marzi hai.........
Tum ho ke to dunyaa se bay-zaar kabhi daikho
Aankho'n mai'n kabhi utro, uss paar kabhi daikho
Aansoo ki haqeeqat to, hai zakhm se paiwastaa
Garr rooh pe tum khaa ker, ik baar kabhi daikho
Ho aankh jaha'n dard to aansoo ho kahaani
Aisee bhi koee dunyaa ik baar kabhi daikho
Dil toot na jaay gaa, garr tum jo kabhi khud ko
Aaeena-e-dunyaa mai'n bay-kaar kabhi daikho
Daikho gay kabhi tum bhi, ik doobti nayya ko
Saahil pe kharay ho ker ik baar kabhi daikho
Woh mujh se ye kehtay hai'n, chhoro ye ajab baatai'n
Jazbaat ki lughat mai'n, tum pyaar kabhi daikho
Parhtay jo meri aankhain, to jaan ye laitay woh
Kuchh log nahi'n kertay izhaar kabhi daikho
Auro'n ki tarah tum bhi, boli naa lagaa daina
Baahar jo mere ghar ke khareedaar kabhi dakho
Iss shor mai'n tum meri aawaaz dabaa dainaa
Garr log samaa'at se bay-zaar kabhi daikho
Bojhal jo meri aankhain daikhai'n to wo kehtay hain
Tum so ke to abb Areeb ik baar kabhi daikho
Udaasi
Udasi tum usay kehna
Hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Aur
Sada weran phirtee hey
Tera bichra howa
Ujhrey howay shehroon mein akser bhagta phirta hey
Akser jagta phirta hey
So nahi paya hey
Aur udasi tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi ho
Hum bhi apni RAAKH
Hathoon mein liay aur siskiyaan leti howi Tanhayee key baal kholay bayn kerty hain
Udasi! Tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi tenha
Yahan bhi hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Khala jo zaat ki her char dewari key ander hey
Khabhi bhi bher na payee ga
Yahan bhi her sada Weeran phirty hey
Udasi tum usay kehna
Udasi tum usay kehna!
*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*
tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
Ajeeb Larka Hoon !!!
Ajeeb larka hoon khud ko jalaana chahtaa hoon
May khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtaa hoon
Mere naseeb ki khushiyaan bhi kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtaa hoon
Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhey
Koi bhee dard ho dil may chupana chahtaa hoon
Baha baha ke ye aasnoo bikhar chuka hoon bahut
Simat ke zaat may ab muskurana chahtaa hoon
Jisay eik umer dil mai chupa ke rakha hai
Wo raaz aaj may sab ko batana chahtaaa hoon
Wahee hay yaad jo acha kaha hay logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtaa hoon
Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larka hoon sab ko batana chahtaa hoon
Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To may bhee un khushiyoon se rooth jana chahtaa hoon
Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtaa hoon
Tu apnay dil ke her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtaa hoon
Bohat Dino Ki Baat Thi
shabab Per Bahar Thi
Fiza Bhi Kushgawar Thi
Na Jaane Kioun Machal Para
Main Apne Ghar Se Chal Para
Kisi Ne Mujh Ko Rok Ker
Bari Aada Se Tok Ker
Kaha Ke Laut Ayyee
Meri Qasam Na Jayyee
Meri Qasam Na Jayyee
Magar Mujhe Khabar Na Thi
Mahaul Per Nazar Na Thi
Na Janey Kioun Machal Para
Main Apney Ghar Se Chal Para
Phir Shehar Se Main Aa Agaya
Khayal Tha Ke Paa Gaya
Usey Jo Mujh Se Durr Thi
Magar Meri Zaroor Thi
Phir Ik Haseen Shaam Ko
Main Chal Para Salam Ko
Gali Ka Rang Dekh Ker
Naye Tarang Dekh Ker
Mujhe Bari Khushi Hui
Main Gum kisi khushi main tha
kisi Ne Jhank Ker Kaha
Paraye Ghar Se Jayyee
Meri Qasam Na Ayyee
Wohi Haseen Shaam Hai
Bahar Jis Ka Naam Hai
Chala Hoon Ghar Ko Chor Ker
Na Janey Jaoon Ga Kidhar
Koi Nahin Jo Rok Ker
Koi Nahin Jo Tok Ker
Kahay Ke Laut Ayyee
Meri Qasam Na Jayyee ...Meri Qasam Na Jayyee
Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir...?
Bichhar kar sochta hoon main,
Wo phir se mil gaya to phir...?
Main titliyon k shehar mein,
Rahoon to mujh ko fikr hai...
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to phir...?
Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila...
Tamam umr k liye,
Ye dard mil gaya to phir...?
Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar saka...
Agar mere sawal ka,
Jawab mil gaya to phir...?
raat sunti rahi mai sunata raha
dard ki daastan mai batata raha
log lougon say chahat nibhatay rahay
aik woh tha mera dil jalata raha
dhoop chaoon see us ki tabiyat rahi
woh nigaahain milata churata raha
aik mai he piyaasa raha doston
loug peetay rahay mai pilata raha
dil k mehmaan khanay mein rounaq rahi
koi aata raha koi jata raha
ham-maktab nay sara sabaq parh liya
mai tera naam likhta mitata raha
tumhain jana ijazat hay
keh in tareek raho per
thakan si khod main pao to
andhero say kabhi dil dool jaye
thak si jao to
mere jaltay huway lamhon
mere kangal hathon say chura kay apnay hathon ko
fiza ki nagmi say tum naye geeton ko chun lena
haseen palkon ki nokon per naye kuch khwab bun lena
koi agar poch lay mera to is say zikar mat kerna
mere jewan ki jalti dopehar say bay garz ho ker
tum apni chandni raton main jugnu palti rahna
meri tanhaiyon ki wehshton ki fiker mat kerna
tumhain is ki ijazat hay
mere sab khat jala dena
mere tohfon ko darya main bahana ya daba dena
meri har yaad ko dil say khurchna or mita dena
tumhain bilkul ijazat hay
magar itni guzarish hay
agar aisa na ho jana
to acha hay...
Gham-e-ashiqi se kah do raah-e-aam tak na pahuNche
..... mujhe Khauf hai ye tohmat mere naam tak na pahuNche
main nazar se pe raha tha to ye dil ne bad-dua di
..... tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahuNche
nai subah par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
..... ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na pahuNche
woh nava-e-muzmahil kya na ho jis mein dil ki dhaDkan
..... woh sada-e-ahle-dil kya jo awaam tak na pahuNche
yunhin apne dil ki Khabarein mere dil se mil rahi hain
..... main jo unse rooTh jaauN to payam tak na pahuNche
ye ada-e-beniazi tujhe bewafa mubarak
..... magar aisi beruKhi kya ke salaam tak na pahuNche
jo naqab-e-ruKh uThaa di to ye Qaid bhi laga di
..... uThe har nigah lekin koi baam tak na pahuNche
Wahi ik Khamosh naGhma hai "Shakeel" jaan-e-hasti
..... jo zubaaN tak na aaye jo Qalaam tak na pahuNche
Dil par zakham khany ko
Dard-e-dil nibhany ko
piyar main mar janay ko
Bas aik mohabbat kafi hai
Ankhon ko aansoo dainay ko
Phir aansoon ko peenay ko
Aur qatra qatra jeenay ko
Bas aik mohabbat kafi hai
Dil ka chain khonay ko
Khoon kay ansoo ronay ko
Aur mar mar k jeenay ko
Bas aik mohabbat kafi hai
Rooh par aay zakhmon ko
Rista nasoor banany ko
Zehr-ejudai peenay ko
Bas aik mohabbat kafi hai
Ashak dil main bahany ko
Chashm-e-nam chupany ko
Has has k mar janay ko
Bas aik mohabbat kafi hai
Zakham zakham dil say
Aur choor choor rooh say
Phir labon pay muskaan sajany ko
Bas aik mohabbat kafi hai
Jeewan bisat bichany ko
Phir uss main haar janay ko
Aur qatra qatra mar janay ko
Bas aik mohabbat kafi hai
sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana
jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone me
use poori tarah se tum bhulado phir chale jana
ye sare perh podhe tum bin ek rut jage hue
tum aake ek baar inko sulado phir chale jana
kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana
bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana
wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana
jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana
jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana
mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!
Mohubbat mer nahin sakty
Huzaroon dukh purain sehna mohubbat mer nahin sakty
Hai tum se bus yehi kehna mohubbat mer nahin sakty
Tera her bar mere khat ko perhna aur roo dena
Mera her bar likh dena mohubbat mer nahin sakty
Jahan mein jub tuluk punchi chehuktay urhtay phirtay hain
Hai jub tuk phool ka khilna mohubbat mer nahin sakty
Puranay ehud ko jub zinda kernay ka khayaal aaye
Mujhay bus itna likh deena mohubbat mer nahin sakty
Ager hum husratoon ki qaber mein dufan ho jain
Tu yeh kutboon pe likh dena mohubbat mer nahin sakty
Puranay rabtoon ko phir naye wadoon ki khawahish hai
Zara eik baar tu kehna mohubbat mer nahin sakty
Gaye lumhaat fursut k kahan se dhoond ker laoon
Wo pehroon haath per likhna mohubbat mer nahin sakty
Use apne faraq ki fiker the Wo jo mera waqif-e-hal tha
Wo jo uski subha e Urooj the Wohi mera waqt e zawal tha
Mera dard kaisay wo janta Mere bat kaisay wo manta
Wo tu khud fana k safar mein tha Use rokna bhi mahal tha
Kahan jao gay mujhe choor k Mein pooch pooch k thak gaya
Wo jawab bhi na day saka wo tu khud sarapa sawal tha
Wo jo us k samne a gaya Wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat e hussan the Ajab uska rang e jamal tha
Dam e wapsi pe kia hua Na wo roshni na wo tazgi
Wo sitara kaisay bikhar gaya Wo tu ap apni missal tha
Wo mila jo sadion k bad bhi Mere lab pe koi gila na tha
Use mere chup ne rula dia jisay guftugo mein kamal tha
Mujhe mil k wo ro dia Mujhe sirf itna wo keh saka
Jise manta tha wo zindigi sirf ik vehm o khayal tha
abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
abhi woh dard baqi hai.....
Sach
Abhi Woh Dard Baqi Hay......
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaye they ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi taur mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai
Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai
Jin Logoon Ko Main Janta Nahin
Un Logoon Kay Mujh Say Alqaab Mangta Hai
Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai
Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangta Hai
Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai
Ajeeb Shaks Hay Khusioon Ko Daman Main Lay Ker
Khushioon Ki Bheeg Sir-E-Bazar Mangta Hai
Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai
Najaney kyon jab bhi udaas hota hai ...
Woh mera naam likh deta hai ...
Woh aksar mujhay...
Zindagi ka khayal likh deta hai ...
Kehta hai hans kar kia naam doon tumhain ..
Phir humesha ki tarhaan sawal likh deta hai ...
Jaanta hai khud ko, phir bhi shararat main ...
Aksar woh apni nazroon ko anjaan likh deta hai ...
Jab doon misaal kisi cheez se mohabbat ko ...
Woh humesha chup ho kar bemisaal likh detahai ...
Woh bohot khush hai zindagi se ...
Laikin aksar utha kar zindagi ko wabal likh deta hai ...
Jab hoon main us k pass tou aksar woh ...
Mere wajood ko khayal likh deta hai ...
Main uski is deewangi ko hans kar taal deta hoon ...
Or woh meri is ada ko bhi kamal likh deta hai ...
Jab kabhi main chup ho jaoon
Woh andeshoon main ghir jata hai ...
Or meri chup ko mohabbat ka zawal likh deta hai ...
Main bohot khush hoon ...
Laikin phir bhi ...
Najane kyon wo aksar ...
Meri aankhoon ko dekh kar weeraan likh deta hai
*** Masoom Mohabbat ***
Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai
Kagaz Ki Haweli Hai Baarish Ka Zamana Hai
Kya Shart-E-Mohabbat Hai, Kya Shart-E-Zamana Hai
Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai
Uss Paar Utarne Ki Umeed Boht Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Bhi Aana Hai
Samjhe Ya Na Samjhe WoH Andaaz Mohabbat Ke
Ek Shakhk ko Aankhon Se Shair Sunana Hai
Bholi Si Adaa Koi phir Ishq Ki Zidd Par Hai
Phir Aag ka Darya hai Aur Doob ke Jana Hai.
*** Usey Kehna ***
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usey Kehna
Kabhi Mile To Yeh Baat Usey Kehna
Woh Saath Tha To Zamana Tha Hamsafar Mera
Magar Ab Koi Nahi Mere Saath Usey Kehna
Usey Kehna Ke Bin Uske Din Nahi Kat'ta
Sisak Sisak Ke Kati Hai Raat Usey Kehna
Usey Pukaroon Ke Khud Hi Ponhach Jaoon
Nahi Rahi Ab Woh Baat Usey Kehna
Agar Woh Phir Bhi Na Laut Aay Qaasid!
Hamari Zeest Ke Haalat Usey Kehna
Har Jeet Us Ke Naam Kar Rahi Hon Main
Main Maanti Hoon Apni Haar Usey Kehna
wo aik larki
WO 1 LARKE..
wo mery jesi
udas logon ki bastion me
wo titlion ko talash karti
WOH EIK LARKEE...
wo gol chehra wo kali ankhin
jo krti rehtin hazar batin
mizaj sada wo dil ki achi
WOH EIK LARKEE...
sari batin wo dil ki manay
wohi kary wo jo dil men thany
koi na jany kya us ki marzi
WOH EIK LARKEE...
wo chahaton k sarab dekhy
mohabaton k wo khwab dekhy
Wo khud samander magr hay piyasi
WOH EIK LARKEE...
WO dosti k nisab jany
WO janti hy ehad nibhany
WO achi dost wo achi sathi
WOH EIK LARKEE...
WO jam chahat ka peena chahy
WO apni marzi sy jeena chahy
magr hy darti ,magr hy darti
WOH EIK LARKEE....
MOHABATOn ka JO FALSAFA hy
WO janti hy usy pata hy
WO phir b rehti dari dari c
WOH EIK LARKEE...
WO jhooty logon ko sacha samjhy
WO sari duniya ko acha samjhy
WO kitni sadi wo kitni Pagli
wo aik larki
SAKOON DEKHAY
Tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil say bojh utar do
Mein boht dinoun say udas hoon, mujhay koi sham udhar do
Kisee or ko mere haal say na gharz hae, na koi waastaa
Mein bikhher gya hun samaet lo,mein bigar gya hun sanwar do
Mujhy apny roop ki dhoop do,k chamak saken mere khalo-khad
Mujhay apnay rang mein rang do, mere saray zang utar do
Meri wehshaton ko barha dea hae,judaioun k azaab nein
Mere dil pe hath rakho zara,meri dharkanon ko qarar do
Koi bat karni hae chand say, kisee shakhsar ki ot say
Mujhy rasty mein yahin kahin,kisee kanj-e-gul mein utar do
Tumhen naseem-e-subha kc lagi,mere khahishon k dayyar ki
Jo bhali lagi to yahin raho, isay chahtoun say nikhaar do
tumhain kaise main bataon tumhain kaise main kahon
mere bus main ager ho to main bus itna hi karon
tumhain din bher tumhain her pal deekhta hi main rahoon
tumhain deekhon tumhain chahon tumhain poojon her pal
tumhain soochon tumhain samjhon tumhain mangon her pal
tumhain main gungunaon tumhain gaoon her pal
main tumhara hoon aaisa deewana merii jaan
mera merna bhi tumhi ho mera jeena bhi ho tum
meri madira bhi tumhii ho mera peena bhi ho tum
meri chaandi bhi tumhii ho mera soona bhi ho tum
mera hasna bhi tumhii ho mera roona bhi ho tum
merii sarii saanson main tum jaise ho ghulii
merii aankhain tumhain deekhain chahay band hoon ya khuli
main tumhara hoon aaisa dewana merii jaan
mere dil main hai yeh arman tumhain ik din paoon
is amber se bhi aagay tumhain le kar jaoon
jahan rahon main hoon bikhre sab chaand aur taare
jahan geeton k behte hoon methay dharay
jahan khuwaboon ki duniya kabhi sooee nahi ho
jahan main hoon jahan tum ho aur koi nahi ho
main tumhara hoon aaisa dewana merii jaan
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Dariya ka Saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Pareyoon ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh naram mulayyam thandi hawain
Jab ghar se tumhare guzrain
Tumhari khushboo churrayain
Mere ghar aayain
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh badal aisa toot ke barsay
Mere dil ki tarah milne ko tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar se
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Tanhaee ho dil ho, boondain ho, barsaat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Dariya ka Saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
mein ne dekha tha un denoon mein usey
jub wo khiltey gulab jesa tha
us ke aankhoon se neend ghuntey they
us ka lehja surab jesa tha
loog purhtey they khal-o-khud us k
wo adab ke kitab jesa tha
mein ne dekha tha un denoon mein usey
jub wo khiltey gulab jesa tha
ye such hai k koi afsana tha wo
ye afsana hai k koi hukekut tha wo
mein ne dekha tha un denoon mein usey
jub wo khiltey gulab jesa tha
ye mughr dear ke kehani hai
ye mughr dear ha afsana hai
us ke mere bech me haeyul
ik sudeyoon bhura zumana hai
najaney in denoon wo kes hai
mein ne dekha tha un denoon mein usey
jub wo khiltey gulab jesa tha.
ik zara si ranjish se
Ik zara si ranjish se
Khawab toot jatay hain
bheer mein zamanay ki
haath choot jatay hain
dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti
lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k, khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se
saath toot jatay hain .......
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..
Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.
Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.
Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.
Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.
Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila haI....
Tanhaa rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon
Maang kay paanaa seekh liya hai
Paa kay khonaa seekh raha hoon
Sabar ko zaad-e-raah banaa kar
Kaanch pay chalna seekh raha hoon
Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peenaa seekh raha hoon
Marham to rakhnaa na aayaa
Zakhm khorachna seekh raha hoon
Jeenay kay hain ajab taqaazay
Zinda rehna seekh raha hoon
Madhooshee nay bohat sataayaa
Hosh main rehnaa seekh raha hoon
Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh raha hoon
Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon
Rotay rotay auron par
Khud pay hansna seekh raha hoon
Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh raha hoon
Udasyon main zaat hay kabhi kabhi mila karo
BaRi kathan hayat hai kabhi kabhi mila karo
Yahan tou log dekhtay he dekhtay bichR gaye
Yeh shehr e hadsaat hay kabhi kabhi mila karo
Who hadsa jou ronuma hwa tha apnay darmyan
Gaye dino ki baat hay kabhi kabhi mila karo
Kisi haseen khwaab main kabhi kisi khayal main
Judayon ki raat hay kabhi kabhi mila karo
Kaye dino say ajnabi na koi aashna mila
Udaas shehr e zaat hay kabhi kabhi mila karo
KhaRay khRay kahan suna sakoN ga daastan e dil
BaRi taweel baat hay kabhi kabhi mila karo
Qadam qadam pay ghat hay kabhi labhi mila karo
Hayaat pul siraat hay kabhi kabhi mila karo!!
Hazaroon dukh pare suhna mohabbat mar nahi sakti
Hai tumse bas yehhi kehna mohabbat mar nahi sakti
Tera har baar mere khat ko parna aur ro deyna
Mera har baar lekh deyna mohabbat mar nahi sakti
Kya tha humne campas ki neend per ek haseen wada
Bhale hum ko pare marna mohabbat mar nahi sakti
Jahan mein jab talak panchi chehakte urte pehrte hein
Hai jab tak phool ka khelna mohabbat mar nahi sakti
Purane eehad ko jab zinda karne ka khayal aaye
Mujhe sab itna lekh deyna mohabbat mar nahi sakti
Wo tera hijar ki shab phone rakhne se zara phele
Bohot roote hoy kehna mohabbat mar nahi sakti
Aagar hum hasratoon ki kabar meinhi dafan ho jaein
To yeh kitaboon pe lekh deyna mohabbat mar nahi sakti
Purane rabtoon ko phir naye wadoon ki kawashih hai
Zara ek baar to kehna mohabbat mar nahi sakti
Gay lamhaat fursat ke ke kahan se dhund kar lahoon
Wo pehroon hath per lekhna mohabbat mar nahi sakti
Syed Wasi Shah*
Suna Hai Log Usey Ankh Bher Key Dekhtey Hain
Soo Us Key Shehr Main Kuch Din Thehr Key Dekhtey Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Halaoon Sey
Soo Apney Aap Ko Barbad Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm-E-Naaz Us Ki
Soo Hum Bhi Us Ki Galee Sey Guzar Key Dekhtey Hain
Suna Hai Booley To Batoon Sey Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chaloo Baat Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hai Din Ko Usey Titliyan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugno Thehr Key Dekhtey Hain
Suna Hai Hashr Hain Us Ki Ghazzaal See Ankheen
Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hai Us Ki Siyah Chashmagi Qayamt Hai
Soo Us Ko Surma Firoosh Aah Bher Key Dekhtey Hain
Bus Ek Nigah Sey Lut-Ta Hai Qafla Dil Ka
Soo Rahwaan-E-Tammana Bhi Dar Key Dekhtey Hain
Rukey To Gardisheen Us Ka Tawaf Kerti Hain
Chaley To Us Ko Zamaney Thehr Key Dekhtey Hain
Kahanian Hee Sahih Sab Mubalghey Hee Sahih
Ager Woh Khawb Hai Tabeer Ker Key Dekhtey Hain
Ahmed Faraz****
Waqt key saath halaat badal jatay hain
Insan wahi rehtay hain, andaz badal jatay hain
Lambay safar per musafir chal paray Jo,
Manzil wahi rehti hai, raastey badal jatay hain
Duniya hai chaman aor laug baghban
Chaman wahi rehta hai,baghban badal jatay hain
Sard o garam ka kia gila shajar se karain,
Saba wahi rehti hai, mosam badal jatay hain
Intekhab wahi hain, ikhtiyaar wahi hain,
ahkaam wahi rehta hai, hukumran badal jatay hain
Daur ek khatam ho aur ho dosra shirou "FARAZ"
kashkol wahi rehti hai, sikkay badal jatay hain
Sochoon to wo saathh chal raha hai
Dekhoon to nazar badal raha hai
Kyun baat zubaan say keh ke khoi
Dil aaj bhi haath mal raha hai
Raatoon kay safar main waham sa thha
Yeh main hoon ke chaand chal raha hai
Hum bhi teray baad jee rahay hain
Aur tu bhi kaheen behal raha hai
Samjhha kay abhi gai hain sakhhian
Aur dil hai keh phir machal raha hai
Hum hi buray ho ga-ay ... keh tera
Mayar-e-wafa badal raha hai
Pehli si wo roshni nahi ab
Kaya Dard ka chaand dhhal raha hai
Chehre pe khushi chah jati hai
ankhon mein suroor aajata hai
Jab tum MuJhe apna kehte Ho
apne app pe guroor Aajata hai
Tum husn ki khud ek dunya Ho,
shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe NooR Aajata Hai
Hum pass se tum ko kiya dekhen
JaB TuM MukaBiL HotE HO
BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,
Parda sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse MohabbaT ki Humne
Tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka Saliqa Aatein Hi
Jeene ka Shaur Aajata Hai
zindagi k melay mein khuahishon k relay mein
zindagi k melay mein khuahishon k relay mein
tum say kya kahain jana is kadar jhamailay mein
waqt ki rawani hai bakht ki garani hai
sakh be zameeny hai sakht la makani hai
hijer k samander mein
takht aur takhtay ki aik hi kahani hai
tum ko jo sunani hai baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai
umer bhat ki baatain kab do ghari mein hoti hain
derd k samander mein un ginat jazeeray hain
be shumaar moti hain
aankh k dareechay mein tum nay jo sunaya tha
baat us us diye ki hai
baat us gilay ki hai
jo lahoo ki khalwat mein chor ban k aata hai
lafz ki faseelon paer toot toot jata hai
zindagi say lambi hai baat ratt jagay ki hai
rastay mein kesay ho baat takhliye ki hai
takhliye ki baatoon main guftagu izafi hai
pyar karnay waloon ko ik nigah kafi hai
Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.
Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?
Teri koshish teri tadbeer hona chahta hun
Main tere haath ki tehreer hona chahta hun
Tu mere pas aae or palatt ker na jaaey
Main tere paaon ki zanjeer hona chahta hun
Mujhe aadat nahi ab doosron k mashwaron ki
Main khud bhi saahib-e-taqdeer hona chahta hun
Azal se khaawb bun ker teri aankhon main raha hun
Main ab sherminda-e-taabeer hona chahta hun
Main is lye berbaad khud ko ker raha hun
Keh tere haath se tameer hona chahta hun.....
Na Sawal bun k mila kero..
Na jawab bun k mila kero..
Meri zindagi meray khawab hain..
Mujhay khawab bun k mila kero..
Her shaam ko meray dosto..
Na azaab bun k mila kero..
Mujhay maiy-qaday mein milo agar..
Tow shraab bun k mila kero..
Mujhay achay log bohat milay..
Mein tow un k karz say mar gya..
Aray ho sakay tow kabhi kabhi..
Tow kahraab bun k mila kero..
Abhi sochna hai tow soch lo..
Abhi chorna hai tow chor dow..
Naiy mosmoo mien milo mujhay..
Tow ghulaab bun k mila kero..
Na tow iss terha say mila kero..
Na tow us terha say mila kero..
Haan hazoor bun k mila kero..
Haan janab bun k mila kero..
Na Sawal bun k mila kero..
Na jawab bun k mila kero..
Meri zindagi meray khawab hain..
Mujhay khawab bun k mila kero.. !!
No comments:
Post a Comment